" ANJAANI EK TALAASH HAI "
" Mere mann mein ye ehsaas hai, door hokar bhi tu paas hai ,
Anjana ek rishta hai , phir bhi jaane kyun khaas hai
puchti hoon khud se ye, mujhe kyun itni aas hai ,
deta dil jawab hai, ki ye shakhs hi kuch khaas hai
khwabon ki galiyon mein , bhatakta ye mann hai ,
aasman mein parindo jaisa , udta ye mann hai
chand ki chandni mein , sochta ye mann hai ,
suraj ki roshni mein , khojta ye mann hai
samandar ki gahraii mein , doobta ye mann hai ,
khud ki hi parchhai ko , dhundta ye mann hai
khud se hi mein baat karoon , ye kaisa pagalpan hai ,
tujhko hi bas yaad karoon , ye kya diwanapan hai
kahne lage hain dost mere , nahi rahi mein ab is duniyaa ki ,
maine unse hanskar kaha , ho chuki mein us apne ki "
" Where sacrifice does not exist , LOVE does not exist "
Comments
wats cooking girl lol;)))
Isme, aapke andaaz ka saath hai..
Well Written - simple, subtle expressions- Loved it